Akelapan
Hum zindagi bhar akelepan ko rote rahe
Humne kab kisi ko apne qareeb aane diya
Jaam, bahaar, ranj, khumar aur khushbu
Uske hawale se humne sab ko aane diya
Mumkin tha baat kar ke sulah kar lete magar
Humne chup reh kar khud par zawaal aane diya
Ek shaam yun he baat nikal aayi thi uski kahin
Humne bhi pursey mein neend ko na aane diya
Mehfil shaad thi yaaro ki qamyabi ke qisso se
Jaane us mehfil mein hume kisne aane diya
This post is licensed under CC BY 4.0 by the author.