Baarish
Kaale ghane baadlo ke chhaate he
Mera intezar shuru ho jaata hai
Har garaj se ilham hota hai ki
Tumhara message aaya hai shayad
Jaise pehle aata tha baarish hone par
Baarish ki halki surili gungunahat
Tumhari khilkhilati hansi yaad dilati hai
Raat ke sannate mein uthti geeli mitti ki khushbu
Kuch dafn ki Hui yaadein ko aazad kar deti hai
Baarishein tab bhi hoti thi
Jab tum paas thi mere
Jab mein tumhari aawaz mein
Baarish ka shor sun sakta tha
Tumhari aankho mein abr-e-uns dekh sakta tha
Bauchharein tumhare badan se ham-aahang hoti thi
Aur main, bas tumhe sunta rehta tha, dekhta rehta tha
Baarishein ab bhi hoti hain
Par ab pata nahi chalta
Sheher alag, zindagi alag baarish bhi alag
Kabhi Dil behlaane ke liye Yun he badal dekh kar
Tumhe Khushi se do-baala hote hue dekh leta hoon
Kabhi baarish ke baad keechad se bachte hue
Tumhe baarish mein jhoomte hue soch leta hoon
Kabhi kabhi mujhe ye darr lagta hai ki
Aasman se baarishein khatam ho jaayengi
par mera intezar nahi