Chaand aur tum
August ki ek umas bhari shaam ko, Magenta line ke kisi khamosh se station par hum dono khade hain. Metro ko aane mein abhi kuch minute aur hain. Paseena lab-a-lab beh raha hai. Intezar hai bas metro ke aane ka. Kisi bhi platform aaye par aaye; kisi surat mein to kuch hawa chale. Faiz ki nazm mein zikr ki gayi “baad-e-saba” yaad aa rahi hai. Shayad faiz ne bhi aise he kisi Mausam mein likhi ho. Faiz se Faraz yaad aaye aur faraz se hijr. Yellow line par hone waala hijr. Mere in khayalo ki rail gaadi ko uske ek sawal ne rok diya.
“Tum log, hum log ko chaand se kyun compare karte rehte ho ?”
Yahan tum se muraad mere jaise un saare logo’n se hai jo likhte hain. Sawaal bhaari tha. Aur sawal mein thodi ziyad’ti bhi thi. Usne hum jaise social media par kaafiya bhidaane waale anaadi’yo ko shayari ke Azeem tareen logo’n ke saath khada kar diya tha.
“Ab tum ye mat keh dena ki dono cheez khoobsurat hain. Kaafi khokhli baat lagti hai ye mujhe”
Maine ek baar use dekha aur ek baar metro station ke display board ko. Kahin se bhi raahat ki koi gunjaish nahi dikhi.
“Bhala chaand mein kya burayi hai ab ?” Maine dabi aawaz mein poochha.
“Ek sawal ka jawab mein ek aur sawal kar ke baat na badlo” usne jhulla kar kaha. Ye baat to sahi thi ki mere paas jawab nahi tha. Jo jawab tha wo saamne se nakaar diya gaya tha. Uski jhunjhulahat bhi samajh sakte the. Ek taraf meri lote jaisi shakal thi aur ek taraf station se bada sa chaand dikh raha tha.
“Chaand khoobsurat to hai he, usse muqable mein kya harj ho sakta hai ?”
“Khoobsurat to tumhe tumhari amma bhi lagti hain, kya karein ab?”
Baat to sahi thi. Log sahi kehte the ki mashook ke saamne limit mein he khulna chahiye.
Agle kuch minute sannata raha. Chaand ki khoobsurati ke alawa kya gunn ho sakte hain.
Chaand mein gadhdhe-numa dhabbe dikhte hain phir bhi wo khoobsurat dikhta hai ? Agar isko usne zaati taur par apne keel-muhaanso se jod liya to shaamat aa jaayegi. Bada nazuk maamla hai.
Chaand door ho kar bhi raat ke andhere mein roshni bhar deta hai ? Haan ye sahi hai. Par ek minute. Agar ye sun kar usne door rehne ka soch liya to ? Sar par baal kam ho rahe hain aur kamar par charbi zyada, is haalat aur umr mein break-up nahi bardaasht hoga.
Kuch aur der ka sannata.
“Par aaj ekdum se ye sawal kaise ?” Maine chuppi todte hue sawal poochha.
“Sach bolungi to bura to nahi maanoge?”
Meri jo haalat thi, main sirf apne haalat ka bura maan sakta tha. Aur sab to gawaara tha mujhe. Maine nahi mein sar hila diya.
“Tumhara mujhe baar baar ‘mera chaand - mera chaand’ kehte rehna bada bura lagta hai. Zeher lagta hai qasam se. Aisa lagta hai ki tum mein aur gali ke lafange mein koi farq he nahi hai. Aur kyun bulana chaand ! Mera ek naam hai, wo bula lo. Zyada shauk hai to apni taraf se koi cute sa na rakh do; ye chaand kya hota hai ? Tum Saleem ho ya main anarkali?”
Saamne waale platform par metro aa chuki thi. Mujhe afsos ho raha tha ki main is ke neeche kyun nahi aaya.
Metro ke aane ke saath he ek behtareen hawa ka jhoka saath aaya. Mahaul mein kuch raahat aayi.
“Achha batao tumhe chaand mein itna kya achha lagta hai ?” Usne mere haath ko apne haath mein lete hue bola.
Uski hatheliyo ki garmahat se mera pighalna shuru ho gaya tha. Is waqt main sab sawal jawab bhool chuka tha. Bas main, wo aur chaand he Nazar the.
“Tumhe pata hai ki wo kya baat thi jisne mujhe pehli nazar mein tumhara deewana bana diya tha?” Maine uski taraf dekhte hue bola.
“Mujhe kya pata”
“Jab maine pehli baar tumhe dekha tha, May ki us chilchilati dhoop mein bhi mujhe waisi Khushi mili thi jaise kisi shaant raat mein chaand ko dekhne par milti hai. Mujhe us waqt aisa laga ki jaise main tumhe Bina thake bine bore hue waise he lagatar dekh sakta hoon jaise chaand ko dekhta rehta hoon. Aisa us din se pehle kabhi nahi hua tha. Phir jaise jaise din baate, mujhe tumhare har rukh se pyaar hone laga. Jaise chaand ke har rukh se ho jaata hai”
Kuch minute hum log yun he ek doosre ko dekhte rahe. Uski aankho se hat kar jab meri nazar metro ke display board par padi to dekha ki agli metro ab 13 minute baad aayegi. 13 minute yun he baithe rehna bhi sahi he tha.