Chaand ka tukda
Kal raat ek momal chaand ka tukda
Aa atka tha mere aangan mein
Deodar ki ghani baaho’n mein phansa
Uljha, jakda, tanha sa chaand
Maine chaha ki haath badha kar chhoo loon
Zara sa latak kar zara uchak kar chhoo loon
Chaand ka ujla husn apne haatho se chhoo loon
Chanad ka tanha dil apne haatho se chhoo loon
Yun laga jaise chaand par ye nuquush mere hain
Ye shab-bedari meri hai, ye veerane mere hain
Peshani par ujle dil-shikani ke daagh mere hain
Ye andhere mere hain, pyaase saahil mere hain
Jaane kis chakor se milne aaya hoga chaand
Kis gori ke maathe par sajne aaya hoga chaand
Kis dil ki aag bujhaane ko aaya hoga chaand
Kis din ke thake ko sulane aaya hoga chaand
Jis balcony ke neeche khade chaand taad rahe
Us balcony mein utarta hai mera chaand