Fasaana
Koi fasaana hota koi khwab hota
Koi deewaana kahin betaab hota
Hijr dhalta, shab-e-firaq hoti
Kisi khidki par koi mehtab hota
Khat hote, khat mein gulab hota
Jagi aankho mein Ishq ka saraab hota
Kisi raat pighalti hui Chandni tale
Phir koi majnu khaana-kharaab hota
Uska ek ek aansu sailaab hota
Mera maatam tak be-aab hota
Jab use khuda maan liya phir
Kya sawal hote kya jawab hota
This post is licensed under CC BY 4.0 by the author.