Haarna aur Jeena
Ye hatasha ye udaasi koi nayi baat to nahi
 Pehle bhi to kitni baar hua hai yun he
 Ki khoon se seenche khwaab aankho se beh gaye
 Aise aur bhi to kayi muqaam the pehle jahan
 Manzil saamne thi par raaste kho gaye the
 Aur qismat aankh mila kar ojhal ho gayi
Seene mein udta ye ghubar-e-gham naya to nahi
 Ye duniya khatam ho jaane ki hatasha
 Ummedon ke ghut’ti hui cheekhein
 Hasraton ka dekhte dekhte vehshat ban jaana
 Khwahish ka khalish banne ka ye andhera safar
 Dil-e-naummeed mein bante bigadte Vasvase
Jab ye sab Naya nahi to in par hairani kyun
 Ye uljhan kyun ye afsos-daari kis baat ki
 Shajar par naye patte sada aate rahenge
 shorish-e-zindagi yun he chalti rahegi
 Lazzat-e-giriya-o-zaari se dil oob jaaye jab
 Badhe chalo agle sabab-e-giriya ki taraf