Hijrat
Apne hisse ke farz liye
Kuch ummedien baandhe
Ek gali se nikal kar
Ek sheher ke ho gaye the
Naye sheher ki chaudi sadke
Bhari hui thi bikhre khwabo se
Mere khawabo se
Mere jaiso ke khwabon se
Deewaron par papdiyan padi thi
Rehne waalo ke armano ki
In armano ke gehre rang ke peechhe se
Majboori ki seelan jhaankne lagi thi
Jin ungliyon se duniya chalni thi
Un mein ab ek cigarette hai
Maathe par tram line si lakeere hain
Aankhe khawabo ke bojh tale dhas gayi hain
Saans lene ke liye hawa hai
Zinda rehne ke liye dost hain
Sheher ki hawa zehreeli hai
Sheher ke dost zehreele hain
Jeb mein thoda aur paise hain
Par ab paiso ka mol khatam ho chuka hai
Sheher mein aadmi bohat ho gaye hain
Aadmiyon ka sheher khatam ho Gaya hai
This post is licensed under CC BY 4.0 by the author.