Maachis
Tumhari bhooli hui maachis se khelte hue khayal aaya ki
Dibbi mein rakhi teeli aur insaan ki saans ek he hain
Har saans gini hui, har ek teeli alhada
Har ek teeli jalti hai aur bujh jaati hai
Har ek saans uthti hai aur chhoot jaati hai
Kabhi cigarette jalane ko teeli jalti hai
Kabhi kash kheenchne ko saans chalti hai
Aakhri teeli ke bujh jaane tak
Aakhri saans ke ruk jaane tak
Zindagi sulagti rehti hai, chalti rehti hai
Ab kuch waqt to tum ye dibbi dhoondhoge
Isi bahaane shayad kuch cigarette kam piyoge
Is dibbi ko haath mein ghumate hue sochta hoon
Goya dil jalaane ke liye apni yaad ki kuch teeliya’n chhod gaye ho
Ya is dibbi mein bhar ke apni kuch saansein chhod Gaye ho
This post is licensed under CC BY 4.0 by the author.