Muhabbat ab phir kab hogi
Pyaari Fareha,
Ummeed karta hoon tum jahan hogi khush aur sehat-mand hogi.
Is khat likhne ki wajah ek sawal hai, jo tumne bohat saal pehle poochha tha. January ki ek shaam thi aur maine kuch der pehle he tumse apni muhabbat ka khulasa Kiya tha. Kuch 8-10 saal der se he sahi par kar he diya tha. Ye jaante hue bhi ki tum kisi aur muhabbat mein mubtila ho. Meri koshish apni daavedaari ki peshkash karne ki thi, mujhe bas tumhe batana tha. Apni ek tarfa aur thodi buzdil muhabbat mein thoda zarf jod kar muaashre ke paimane par laana tha. Muhabbat ka izhar karna utna zaroori hai jitna saans Lena. Dono agar na ho to shakhs ghut ghut ke mar jaata hai.
Par is khat ka mazmoon wo ek sawal hai jo tumne mere izhar-e-muhabbat ke baad Kiya tha. “Abhi bhi” tumne poochha tha aur maine fauran kaha tha “always”.
Main yahan par ye baat saaf karna chaahta hoon ki mera jawab Harry Potter ke qirdar Snape se churaya hua tha. Aakhri kitab mein jab Dumbledore usse poochhte hain “after all this time” to wo apni jaadoo ki chhadi ghumaate hue kehta hai “always” aur apni marhoom muhabbat ke jaisa patronus nikaalta hai.
Mere paas koi jaadoo ki chhadi nahi hai. Koi jaadoo bhi nahi aata hai. mere paas bas kuch lafz hain jin ka tum par koi asar nahi hai.
Aaj us January ki shaam ko bhi 10 saal hone waale hain. Is beech zinta