Post

Sawaal Jawab

Kuch sawal hain Jinke jawab chahiye
Khokhle Dilaase nahi, muhavre nahi
Jawaab jo sabr de, sabr aazmaye nahi
Jis se kuch hal nikle, kuch sukoon mile

Sawal zara sa hai bilkul
Kab tak dua maangni hoti hai
Kab tak ummed lagani hoti hai
Ki koi hai kahin jo sun raha hai

Koi to inteha hogi intezaar ki
Ye girya-o-zari kab tak chale
Kab phootega aasman ka seena
Kab kun hoga, kab maqbooliyat barsegi

Kahin se koi ishaara to aaye ki meri maang jayaz hai
Ya mere maangne ka tareeqa sahi hai
Ki jisne maangne par Dene ka waada Kiya hai
Us tak baat pohoch bhi rahi hai

Ab us haashiye par hoon jis ke aage bas mayoosi hai
Par usne to kaha hai ki mayoosi kufr hai
Mayoosi kufr hai aur khud-sozi haram hai
Hashiye ke udhar jaa nahi sakte, idhar jee nahi paa rahe

Jin thaki aankho se khwaab dekhe wo
Unhi ki god se aansu ban kar beh gaye
Sab ko zinda rakhne ke liye na jaane
Kitni khawahishein aur dafnani hain

Ek ajeeb si musalsal jumbish hai zehen mein
Wahi ek sawal phirta rehta hai ki
Kya ye aakhri baar haath uthe hain is dua ke liye
Ya kal phir se ek aur hasrat ke liye Rona hai

This post is licensed under CC BY 4.0 by the author.

Trending Tags