Shor
Hum aise shor ne nikal aaye hain jahan
kuch suna nahi jata kuch kaha nahi jaata
Jis se mile use apna shedai kar gaye
Unka ye kaar-e-karam saha nahi jaata
Ek hujoom gham-ghusar hai humara
Phir bhi ye dard kisi se kaha nahi jaata
Har shakhs azeez ho chala hai yahan
Ab is sheher mein aur raha nahi jaata
Aaye ab koi aur ruswa kare hume
Aaj kal koi Sher bhi kaha nahi jaata
This post is licensed under CC BY 4.0 by the author.