Tamanna
Intiha-e-shauq ki tapish se jab haisiyat jalti hai
Bekas dil ki gehrayi mein ek tamanna palti hai
Chaak hasrato ko “kaash” ke paiband se sajaya Hai
Sab jod khul jaate hain jab kahin Teri baat chalti hai
Main Jo use ab aankh mila kar bhi nahi dekh paata
Use kya bataun meri chahat mein uski kya galti hai
Tum to apne khwab jeene nikle the ghar se bahar
Phir Kyun ghabra jaate ho jab bhi shaam dhalti hai
Muhabbat ka ek rang ye bhi hai ki iske sahaare
Kitno ki zindagi chalti hai, kitno ki maut talti hai
This post is licensed under CC BY 4.0 by the author.