Tumhara Shahar
Tumhare shahar mein ab tum sa kuch nahi
 Tum nahi ho to yun lagta hai ki goya
 Iski raunak saraab thi tumhari parchhai ki
 Baad-e-saba tumhari khushbu ki paikar thi
 Raatein tumhari baahon se khush-gawar rhi
 Ujaale tumhari chamakti aankho se raushan the
Tum nahi ho to shahar veeran jungle lagta hai
 Be-rang nazaare, pheeke aasman, be-noor raatein 
 Chaandni mein wo sukoon bhari thandak nahi ab
 Gard aasman mein sitaare dum tod chuke hain sab
 Baam-e-falak par ab zard raushan seher nahi hoti
 Shaame tumhari angdai’on par nahi dhaltin ab
Ab ki baar aana to wo ujaale leti aana jo tumhare
 shaadi ke jode mein lag kar chale gaye the
 Saath le aana apni baatein, qisse aur kahaniya
 Aur sunana apne usi dilchasp andaaz mein
 Jise sun kar main ek baar phir tum par mar mitun
 Aur ye karkash duniya thodi behtar lagne lage