Chaandni raat ka safar
Aadhi raat ke baad ka waqt hai, ek andhi sadak par car ki headlight aur chaudhavi ke chaand ke alawa ghupp andhera hai. Mujhe samajh nahi aa raha ki is khamoshi ki wajah kya hai.
Kya wo is shaadi mein mila kharab khana hai ya Ghar se nikalte waqt hui humari Chhoti si kaha-suni. Bohat ehtiyaat se maine sadak se nazar hata kar tumhe dekha. Tum seat par paalthi maare hue baithi khidki se bahar chaand ko dekh rahi ho. Shayad meri koi shikayat kar rahi ho. Is khamoshi se pareshan ho kar yak-ba-yak meri ungli stereo ke play button par padi.
Stereo par Iqbal Bano “dasht-e-tanhai” gaa rahin thi. Mujhe agle kuch minute lag gaye madhoshi ke khumar se nikalne mein. Maine ek baar phir tumhe dekha. Tum abhi bhi chaand se he mukhatib ho par ab chehre ke bhaav alag hain. Maine fauran stereo band kiya. Is waqt tumhe yun gun-gunaate hue sunna kisi nemat se kam nahi hai. Car ka mahaul ab behtar ho raha hai. Tumhari aawaz zara zara si tez ho rahi hai; aankhe band hain aur chehre par halki se Chandni pad rahi hai. Mere liye shayad yahi Jannat hai.
Kisne socha tha ki faiz ne jo apne hijr ke dard mein likha tha wo mere yun kaam aayega.