Post

Dil oob chuka hai ab

Dil oob chuka hai ab
Bina neend ki raaton se
Uljhi akeli shaam’on se
Thaki bojhil subah’on se
Ek na-haq maut ke intezar se
Dil oob Chuka hai ab

Jaise raaton ko chaand ki nisbat
Samundar mein paani chadh aata hai
Kuch Waise he in bedaar raaton mein
Dil malaal se lab-a-lab ho uth’ta hai
Sahilo ke veerane se, chaand ki tanhai se
Dil oob Chuka hai ab

Kisi ghazal ke ashaar se
Kisi geet ki boliyo’n se
Kisi gulukaar ki aawaz se
Aur na jaane kitne bahaano se
Uski qurbat ki chaah mein jeete marte
Dil oob Chuka hai ab

Kabhi koi bhi kaam poora na kar paana
Kabhi Kisi kaam mein besudh ho jaana
Baat karte karte gumm ho jaana
Nazar hat’te he pichhla sab bhool jaana
Uljhan ki dawayein, dawao ki uljhan se
Dil oob Chuka hai ab

Jism’on ke melo’n se
Haste chahekte chehro’n se
Nazro’n ki be-hayai se
Beech bazaar ki tanhai se
Nafs ki maari is jawaani se
Fitna-e-dil ki pasbani se
Dil oob chuka hai ab

This post is licensed under CC BY 4.0 by the author.

Trending Tags