Post

Raat

Raat ke 10 baj kar kuch minute hue hain
Aur ye din bhar ka thaka badan
Aise bedaar hai jaise lambi neend se utha ho
Bistar ko karvaton mein naapa gaya
Dua padhi, totke kiye poori tayyari ki gayi

Sarhaane ek phone rakha hua hai
Jo agle kuch ghanto mein bajega
Hume ek neend se uthaane ke liye
Wo neend jo is phone ki wajah se he nahi aayi
Ya phir shayad tumhari wajah se
Ya phir humari wajah se

Raat 11 baj kar kuch minute tak
Tumhare message ka intezar hua
Besabri mein maayal dil bechain hota gaya
Minute dar minute phone haath mein hota
Kabhi ek app par intezar kabhi doosri par

Raat 12 baj kar kuch minute tak
Jaane kitni baar tumhari tasveer dekh kar band kar di
Phir silsila shuru hua puraani baatein hifz karne ka
Har ek baat ko tajweed ke saath padha
Har ek smiley ko nukhte ke barabar samjha

Raat 1 baj kar kuch minute ke baad
Ab intezar karna bewakoofi thi
Aur isi bewakoofi ki malamat shuru ho chuki thi
Jaun zehen mein utar chuke the
Ek aur raat dushvaar ho chuki thi

This post is licensed under CC BY 4.0 by the author.

Trending Tags