Post

Marasim

Main ab ishq ke maslo mein nahi padta
Kisi ki tawajjo ke liye bejah nahi jhagadta
Wo saamne ho kar bhi mukhatib nahi hota
Mujhe bhi ab is baat se farq nahi padta
Neend aati hai to so jaata hoon ab
Zindagi ki asliyaton se ab nahi ladta
Marasim ab yun hai ki meri zuban par
duaon mein bhi uska naam nahi chadhta
Har roz ek naya gham dhoondhta hai dil
Tere Gham-e-furqat se ab din nahi chadhta

Trending Tags