Maangte hain
Muhabbat ke aage wo mehboob maangte hain
Maangne waale bhi Kya khoob maangte hain
Hai yaqeen ki muhabbat mein wafa khushnaseebi hai
Hum aseer-e-husn phir bhi us bewafa ko maangte hain
Wujood, ana, Hasti sab bhula di thi pehli nazar mein
Dekhte hain ab sayyad maqtuul se kya maangte hain
Jis khuda ne duniya ki aazmaishen taqdeer mein likh di
Goya Usi khuda se taqdeer badalne ki dua maangte hain