Post

Aashiyana

Kisi der shaam daftar se thaki haari
Wo jab mere paas aa kar baithti hai
ungliyon se meri hatheli dhoondhti hui
sar mere kandhe par rakh kar kehti hai
“Ab laga jaise ghar aayin hoon”
Main chup reh kar muskura deta hoon
Shayad yun ki is khamoshi mein sukoon hai
Uske bagal mein baithne se, paas hone mein
Tasalli hai, itminan hai, jeene ki wajah hai
Ya phir shayad isliye chup reh jaata hoon
Kyun ki mujhe nahi pata ki use kaise bataun
Ki jab tak usne mujhe nahi dhoondha tha
Aur nahi apnaya tha, aur gale lagaya tha
Usse pehle main bas dar-o-deewar tha
Uska aashiyana banne se pehle
Bikhra sa, veeran sa khandahar tha

Trending Tags