Post

Roobaru

Wo mere roobaru baitha ho
Aur Darmiyan ki saari dooriyan
Haath bhar ki doori mein simat kar reh jaaye

Damakta hua chehra muskurati hui aankhe
Meri chor nazrein hatt he na rahi ho
Husn ka kohsar mere saamne
Aur main ek adna sa maghloob musafir
main chhone ke liye haath badhaun
Wo palkein jhuka kar muskura de
Uske baalon mein haath pherte he
Kaanpte haath, be-rawani dhadakta dil
Aur duniya wahin khatam ho jaaye

Use dekh dekh kar ye sochun
Mujhe is khoobsurat chehre se pyaar hai
Ya ye chehra mere ishq se dilkash hai

Trending Tags