Be-payaan Dariya
Jab saare shor sharaabe khatam ho jaate hain
Raat sheher ki raushniyo ko nigal jaati hai
Main apni thakan le kar, apne vasvase samet kar
Baith jaata hoon kabhi sahil par kabhi kisi chhat par
Kabhi kisi pahaad ke neeche behti nadi ke saath
Aur dekhta rehta hoon, sunta rehta hoon
Dariya ke be-payaan aanchal ko
Chaand ke jalwa angez noor ko
Nadi ki athkheliyon ke alhad shor ko
Aur yaad karta hoon tumhe
Ki kaise us be-payaan dariya ki tarah
Main tumhe dekhta rehta tha
Bina kisi aur khyaal ke, bina uktaaye, bina thake
Aur jaise har lehar dar lehar dariya badalta hai
Waise tumhare chehre mein dhoondh leta tha
Kuch naya dekhne ko, sanwaarne ko, sahejne ko
Kaise Maine dekha hai chaand ko tum bante hue
Kabhi poora chehra, kabhi sirf tumhare nath bane
Wo Noor wo chehra wo aankhein wo thandak
Maine tumhe utna dekha jitna chaand ko dekha chakor ne
Aksar jab akele mein tumhare voice note sunta hoon
To khaali kamre mein tumhari aawaz aise bhar jaati hai
Jaise raat ke andhere mein kisi pahad ke tale
Koi be-kal behti nadi Raat ke shor ko cheer rahi ho
us rawaani se bhare shor se bhar leta hoon khud ko
Ki uski jhankar se kuch din aur kat jaayenge
Aur phir yun kabhi kisi chaandni raat mein sahil kinare
Hum ek din mar jaayenge