Post

Haar gaye tum

Le de kar ek ummeed he bachi thi khasaare mein
Kya Ghazab hai ki wo ummeed bhi haar gaye tum

Ye mehfiley ye kahkahe ya dostiyon ke saraab
Yaani ki apne akelepan se bhi haar gaye tum

Tumhare haathon par to lakeere thi uske naam ki
Kaho kya bataoge ki phir kaise haar gaye tum

Do hasti aankhe ek raushan soorat aur meetha lehja
Bas itni si baat par apna sab kuch haar gaye tum

ye aalishan ghar aur iske khaali kamre batate hain
ki bohat kuch jeet kar bhi shayad sab haar gaye tum

Trending Tags